Wednesday, July 9, 2014

New Sad Urdu Poetry Images Sad Poetry In Urdu About Love 2 Line About Life By Wasi Shah By Faraz Allama Iqbal Photos Images Wallpapers

New Sad Urdu Poetry Images Biography

Source:- Google.com.pk

HAR NAKSH CHAHAT KA MITA DENA
Woh Sookhe Phool Tum Apni Kitaabon Se Hata Dena
Jahan Tak Ho Sake Har Naksh Chahat Ka Mita Dena.
Tumhari Bewafai Doosron Par Kyon Ujaagar Ho
Mere Kuch Khat Tumhare Paas Hain Unko Jala Dena.
Kabhi Apne Ta-Alluoq Ki Agar Baat Aa Bhi Jati Hai
To Hans Kar Taal Jaana Ya Ki Baton Mein Uda Dena
Tumhare Saath Wo Bhi Kinara Kar Gayin Mujh Se
Meri Needen Kahan Hain In Dino Ye To Bata Dena
Wo Laila Aur Majnoo Ke Zamaane Aur They Hamdam
Hamaare Daur Ka Dastoor Hai Milna Aur Bhula Dena
---***---
Ye Kab Kaha Hai K Marne Ki Bat Yar Na Kar
Magar Ye Tazkara Hijar Bar Bar Na Kar
Wo Ik Karm Se Sabhi Kuch Tujay Bhula Day Ga
Tu Is Liye Sitam Is K Shumar Na Kar
Nazar Ko Rok Kisi Arzo K Sahil Par
Ab Is K Hussan K Dariya Ko Ayse Paar Na Kar
Koi Umeed Na Rakh Ab Kisi K Anay Ki
Jo Waqat Beet Gaya Us Ka Intzar Na Kar
Sokun Bohat Hai Yahan Doriyo K Sehra Main
Qareen A K Hamain Phir Se Be Qarar Na Kar
Smaj Ly Is Ko Bhi Hiqmat Koi Khuda Ki Hassan
Wo Ja Chuka Hai To Yun Khud Ko Sogawr Na Kar
---***---
Talkhion Ka Zehar Dil Main Bhar Gaye Bewafa Sorj Ki Harjai Kirn
Mere Angan Main Andhera Ker Gai Bewafa Sorj Ki Harjai Kirn
Jinay Marnay Ka Irad Yaad Tha Us Ko To Her Aik Wada Yaad Tha
Han Magar Ruswaion Se Dar Gai Bewafa Sorj Ki Harjai Kirn
Khud Se Akasar Pochta Rahta Hun Main Her Ghari Ye Sochta Rahta Hun
Muj Ko Cho Ker Janay Kis K Ghar Gai Bay Bewafa Sorj Ki Harjai Kirn
Dar Badr Ho Ker Jidar Bhi Jayen Zindgi Se Hum Kaha Mil Payen Gay
Ay Hassan Apnay Liye To Mar Gai  Bay Bewafa Sorj Ki Harjai Kirn
---***---
Yar K Ghum Ko Ajab Nakash Giri Ati Hai
Por Por Ankh Ni Manid Phari Ati Hai
Bay Taluq Na Hamain Jan K Hum Jantain Hain
Kitna Kuch Jaan K Ye Bay Khabri Ati Hai
Is Qadar Gundna Perti Hai Laho Se Mati
Hath Ghul Jatain Hain To Koza Giri Ati Hai
Kitna Rakhtay Hai Wo Is Shahary Khamosha Ka Khayal
Roz Ik Nao Gulabo Se Bhari Ati Hai
Zindgi Kese Bus Ho Gai K Hum Ko Tabish
Sabar Ata Hai Na Ashfta Sari Ati Hai
---***---
Wo Bholta Hai Na Dil Main Utarta Hai Mujay
Hamaisha Mar Muhabat Ki Marta Hai Mujay
Main Us Ka Lamha Mujod Hun Magar Wo Shakhas
Fazol Waqat Smaj Ker Guzarta Hai Mujay
Bazahar Aysa Nahi Pairh Is Hawayli Ka
Hawa Chalay To Buhat Phol Marta Hai Mujay
Main Is K Hath Main Jata Hon Malo Zer Ki Trah
Wo Rooz Qarz Smaj Ker Utarta Hai Mujay
---***---
Khayal-O-Khwab Hue Hain Muhabbaten Kaisi
Lahu Main Nach Rahan Hain Yai Wahashaten Kaisi
Na Shab Ko Chand Hai Achchha Na Din Ko Mehar Achchha
Yai Ham Pe Bat Raha Hain Qayamaten Kaisi
Azab Jin Ka Tabassum Sawab Jin Ka Nigah
Khinchi Hui Hain Pas-E-Janan Suraten Kaisi
Hawa Ke Dosh Pe Rakkhe Hue CharaG Hain Ham
Jo Bujh Gayai To Hawa Se Shikayaten Kaisi
Jo BeKhabar Koi Guzara To Sada Yai Di Hai
Main Sang-E-Rah Hun Mujh Par Inayaten Kaisi
Jo Aa Rahe So Wo Bhi Ab Sang-O-Khisht Lata Hai
Faza Yai Ho To Dilon Ki Nazakaten Kaisi
---***---
Wo Mujh Ko Jurm-E- Mohabat Ki Yu Saza Dega
K Lohe Dil Se Mera Naam Tak Meta Dega
Mujhe Ye Zid Hai K Meri Ana Rahe Baqi
Use Ye Zaum K Akhir Mujhe Jukha Dega
Me Ranjeshon Se Zamane K Har Jaaon Agar
Wo Aik Shaks Mera Hosala Barha Dega
Bajaye Dost K Tum Apne Doshmano Se Milo
K Ye Ammal Tu Kaiy Ranjeshey Meta Dega
Mere Baghar Mukamal Nahi Hai Zat Us Ki
Ye Ighteraf-E- Mohabat Mujhe Rula Dega
---***---
Ek Chehra Saath Sath Raha Jo Mila Nahin,
Kis Ko Talaash Karte Rahe Kuchh Pata Nahin.
Shiddat Ki Dhoop Tez Hawaaon Ke Bawajood,
Main Shaakh Se Gira Hoon Nazar Se Gira Nahin.
Aakhir Ghazal Ka Taj Mahal Bhi Hai Makbara,
Hum Zindagi They Hum Ko Kisi Ne Jiya Nahin.
Jis Ki Mukhaalfat Huyee Mashhoor Ho Gaya,
In Patthron Se Koi Parinda Gira Nahin.
Taareekion Mein Aur Chamakti Hai Dil Ki Dhoop,
Sooraj Tamaam Raat Yahan Doobta Nahin.
---***---
Tujh Se Mil Ker Bhi Kuch Khafa Hein Hum
Be-Maruwut Nahin Tau Kya Hein Hum
Hum Ghum-E Karwaan Mein Baithe Thay
Laug Sumjhe Shikasta Pa Hein Hum
Is Turhan Se Humein Raqeeb Milay
Jaise Mudat Ke Aashna Hein Hum
Raakh Hein Hum Agar Yeh Aag Bujhi
Juz Ghum-E-Dost Aur Kya Hein Hum
Khud Ko Sunte Hein Iss TurhaaN Jaise
Waqt Ki Aakhri Sadaa Hein Hum
Kyon Zamane Ko Dein  Ilzaam
Wo Nahin Hein Tu Be Wafa Hein Hum
---***---
Benaam Sa Ye Dard…Thehar Kyon Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai…Woh Guzar Kyon Nahi Jata.
Sab Kuch To Hai…Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein
Kya Baat Hai…Mai Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata..
Woh Ek Hi Chehra To, Nahi Sare Jahan Mein
Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata…
Main Apni Hi Uljhi Hoi…Raho Ka Tamasha
Jate Hain Jidhar Sab…Main Udhar Kyon Nahi Jata…
Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata…!
---***---
Aaj Ashkon Ka Taar Toot Gaya,
Rishta-E-Intezaar Toot Gaya,
Yun To Thukra Ke Chal Diye Goya,
Ek Khilona Tha Pyaar Toot Gaya,
Roye Reh Reh Kar Hichkiyaan Lekar,
Saaz-E-GaM Baar Baar Toot Gaya,
Aap Ki Berukhi Ka Shikwa Kya,
Dil Tha Na-Paidaar Toot Gaya,
Dekh Li Dil Ne Besabati-E-Gul,
Phir TilisM-E-Bahar Toot Gaya,
Kya Chaar Dinki Ranjish Se,
Itni Muddat Ka Pyaar Toot Gaya

1 comment: