Wednesday, July 9, 2014

Famous Sad Poetry In Urdu Sad Poetry In Urdu About Love 2 Line About Life By Wasi Shah By Faraz Allama Iqbal Photos Images Wallpapers

Famous Sad Poetry In Urdu Biography

Source:- Google.com.pk

Kabi To Lot Kr Aao
Muje Bas Itna Samjhao
Kahan Se Seekh Li Tum Ne
ADDA Muj Ko Bhulaney Ki
Tumhein Jo Muj Se Shikwa Tha
Ya Koi B Shikayat Thi
Zehmatto Zara Si Thi
Na Koshish Ki Bataney Ki
Bhala Yun Chhor Kr Apna
Koi Apnon Ko Jata Hai
Musalsal Dukh Ki Baarish Mein
Jeewan Bhar Yun Rulaata Hai
Abi BRait Geeli Hai
Abi Sab NAQSH Baqi Hain
Gaye Qadmon Pe Lot Aao
Muje Bas Itna Samjhao
Kahan Se Seekh Li Tum Ne
ADDA Muj Ko Bhulaney Ki
---***---
Un Ke Andaz-E-Karam Un Pe Wo Aana Dil Ka
Haye Wo Waqat Wo Baten Wo Zamana Dil Ka
Na Suna Uss Ne Tawajoh Se Fasana Dil Ka
Umer Guzri Par Daed Na Jana Dil Ka
Dil Lagi Dil Ki Lagi Ban Ke Mita Deti Ha
Rog Dushman Ko B Ya Rabb Na Lagana Dil Ka
Wo B Apnay Na Huye Dil B Geya Hathon Se
Aisay Aane Se To Behtar Ha Na Aana Dil Ka
Un Ki Mehfil Mein “PREET” Un Ke Tabusam Ki Qasam
Hum Dekhtay Reh Gae Hath Se Jana Dil Ka
---***---
Kab Kaun Kisi Ka Hota Hai
Sub Jhootey Rishtey Naate Hain
Sub Dil Rakhney Ki Batein Hain
Sub Asal Roop Chhupate Hain
Ikhlaq Se Khali Log Yahan
Lafzon Ke Teer Chalate Hain
I Baar Nigahon Mein Aakar
Phir Saari Umar Rulate Hain
Who Jis NE Diye Hain Ashk Humein
AB Us Ko Bhool Hi Jaate Hain
---***---
Haqeeqat Hay,Yaqeen Kar Lo,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Muhabbat Mar Chuki Ab To, Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Badalti Rutt Ki Wajah Se, Zra Bojhal Tabiyat Hay
Yun Mera Haal Mat Poocho, Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Mery Lehjay Pa Mat Chonko,Meri Aankhon Mein Mat Jhanko
Yun Hairat Se Na Dekho Tm, Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Tumhein Kya Weham Hay Kiun Raat Bhar Milnay Nahi Aatin
Aey Meri Neend Ki Pariyoon, Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Udasi Saray Ghar Mein Pahilti Jati Hay Gham Ban Kar
Dar O Deewar Pe Likh Do, Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
---***---
Fasle Ayse Bhi Hongay Ye Kabhi Socha Na Tha
Samne Betha Tha Mere Our Wo Mera Na Tha
Wo Kay Khushbu Ki Traha Phela Tha Mere Char So
Main Usay Mehsos Ker Sakta Tha Cho Sakta Na Tha
Raat Bhar Pichli Se Ahat Kaan Mein Ati Rahi
Jhaank Ker Dekha Gali Mein Koi Bhi Aya Na Tha
Aaj Us Ne Dard Bhi Apne Alehda Ker Liye
Aaj Main Roya Tu Mere Sath Wo Roya Na Tha
Ye Sabhi Werania Us Kay Juda Hone Se Thi
Ankh Dundhlai Hoi Thi Shehar Dhundlaya Na Tha
---***---
Bhari Mehfil Mein Tanhai Ka Alam Dhond Leta Hon
Jahan Jata Hon Apne Dil Ka Mousam Dhond Leta Hon
Akela Khud Ko Jab Mehsos Kerta Hon Kisi Lamhay
Kisi Umeed Ka Chehra Koi Gham Dhond Leta Hon
Boht Hansi Nazar Ati Hein Jo Ankhain Sar E Mehfil
Main In Ankhon Kay Pechay Chashm E Purnam Dhond Leta Hon
Gale Lag Ker Kisi Kay Chahta Hon Jab Kabhi Rona
Shiksta Koi Apne Jesa Ham Dam Dhond Leta Hon
Kelander Se Nahi Mashrot Mere Raat Din Sajid
Main Jesa Chahta Hon Wesa Mousam Dhond Leta Hon
---***---
Meri Dastan E Hasrat Wo Suna Suna Kay Roye
Mere Azmane Wale Mujhe Azma K Roye
Koi Aysa Ahle Dil Ho Kay Fasana Mohabbat
Main Usay Suna Kay Ro’on Wo Mujhe Suna Kay Roaye
Meri Arzo Ki Dunia Dil Natwa Ki Hasrat
Jise Kho K Shadma Thay Usay Aj Pa K Roye
Teri Bewafaio Per Teri Kaj Adaio Per
Kabhi Ser Jhuka Kay Roye Kabhi Mun Chupa Kay Roye
Jo Sunai Anjman Mein Shab-E-Gham Ki Ap Beti
Kai Ro K Muskuraye Kai Muskura K Roye
---***---
Teri Bewafai Ka AashiQui Ka Matam Hai,
Zindagi Ki Raahon Mein Zindagi Ka Matam Hai,
Mujhko Dass Gaye Dekho Saanp Aastino Ke,
DushMano Ka Shikwa Kya Dosti Ka Matam Hai,
Ro Rahe Hai DushMan Bhi Aaj Meri Hayat Par,
Aa Ke Dekh Le Teri Berukhi Ka Matam Hai,
Ho Gayi Khata HuMse TuMko Toot Kar Chaha,
Jo HaMein Na Raas Aayi Us Khushi Ka Matam Hai,
Kal Ujale Baante The HuMne Saari Duniya Ko,
Aaj Khud Mere Ghar Mein Roshni Ka Maatam Hai,
Dilke Tukde TuM ZaliM Chunke Bhar Lo Daman Mein,
Puchhe Koi Keh Dena Dillagi Ka Matam Hai…
---***---
Tumhain Jab Milain Furstain Mere Dil Se Boj Utar Do
Main Bohat Dino Se Udas Hun Muje Koi Sham Udhar Do
Muje Apne Roop Ki Dhoop Do K Chamal Sakain Mere Khal O Khad
Muje Apne Rang Mein Rang Do Mere Sare Zang Utar Do
Kisi Our Ko Mere Haal Se Na Garaz Hai Na Koi Wasta
Main Bikhar Gaya Hun Smait Lo Main Bighar Gaya Hun Sanwar Do
Meri Wehshato Ne Berha Diya Hai Judaion K Azab Ne
Mere Dil Pay Hath Rakho Zara Meri Dharakno Ko Qarar Do
Tumhain Sobho Kesi Lagi, Kaho, Meri Khawahisho K Diyar Mein
Jo Bhali Lagi To Yahin Raho Isay Chahto Se Nikhar Do
Koi Baat Kerni Hai Chand Se Kisi Shakhsar Ki Ot Mein
Muje Raste Mein Yahin Kahin Kisi Kanj Gul Mein Utar Do

No comments:

Post a Comment