www Sad Poetry Urdu Biography
Source:- Google.com.pk
Tum Se Meri Baat Hui Thi
Tum Ne Mujh Ko Samjhaya Tha
Apni Zaat Se Baahir Niklo
Ghar Ko Loto
Ghar Ko Dekho
Aur Bhi Log Tumhare Dam Se Zinda Hn
Tum mein Apni Saari Khushiyan
Dekh rahay Hain
Soch Liya Hay
Dekh Liya Hay
Laut Aaya Hun
Lekin Meray Ander Koi Toot Gaya Hay
---***---
Wo Log Bahut Khushkismat The,
Jo IshQ Ko Kaam Samajhte The,
Ya Kaam Se AashiQui Karte The,
Hum Jeete Jee Masroof Rahe,
Kuch IshQ Kiya Kuch Kaam Kiya,
Kaam IshQ Ke Aare Aata Raha,
Aur IshQ Se Kaam Ulajhta Raha,
Phir Aakhir Tang Aa Kar Humne,
Dono Ko Adhura Chhod Diya
---***---
Kabhi Ek Pal K0 S0ch0 T0h,
K0i Kitna Akela Hai,
Kisi Ki Zindagi Tum H0,
Kisi Ki Bandagi Tum H0,
Kisi K0 Teri Khuwahish Hai,
Kisi Ki Chahtein Tum H0,
Kabhi Ek Pal K0 S0ch0 T0h,
Tumhari Laa’parwahi Ne,
Tumhari Be’niazi Ne,
Kisi K0 Mar Dala Hai,
K0i Zinda T0h Hai Lekin,
Faqat W0h Saans Leta Hai,
…..
Zara..!!
Ek Pal K0 S0ch0 T0h K0i
Kitna Akela Hai,
Kisi Ki Zindagi Tum Ho0…
Kisi Ki Zindgi Ho Tum
Tera Ye Phool Sa Chera..
Hamari Zindagi Ho Tum..
---***---
Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata
yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata
who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to phir rstay hamary mein wo roshan sitara kyon nahin ata
bohat hairat hai ab baaghon mein jab kaliyan chatakti hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata
kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakti hain
tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata
bhatakta phir raha hoon din ke is weraan jangal mein
mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata
---***---
Yeh mojaza bhi mohabbat kabhi dikhaye mujhey,
K sang tujh pe girey aur zakhm aye mujhey..
Woh mera dost hai sarey jahan ko hai maloom ,
Daga karey woh kisi se to sharm aye mujhey..
Woh mahrbaan hai to ikraar ku nahi karta,
Woh badguman hai to sau baar aazmaye mujhey ..
Wohi to sab se zeyada hai kareeb mere,
Jo muskara k hamesha galey lagaye mujhey..
Berang uud milegi usey meri khushbo,
Woh jab bhi chahey barey shouq se jalaye mujhey..
Main apni zaat main nilam ho raha houn "Khalid "
Gham hayat se kah do khareed laye mujhey…
---***---
Mujh Ko Begaana Kar Gaye Mere Din
Mujh Se Ho Kar Guzar Gaye Mere Din
Ab Na Koi Din Mere Ghar Jaye Ga
Jaanay Kis Ke Ghar Gaye Mere Din
Ab Nahi Hain Mere Koi Din Raat
Ke Mujh Hee Ko Basar Gaye Mere Din
Saari Raatain Gayin Meri Be-Haal
Mere Din ! Be-Asar Gaye Mere Din
Khosha Ab Intezaar Hai Na Umeed
Yaar Yaaran ! Sudhar Gaye Ab Din
Ab Mein Bas Reh Gaya Hun Raaton Mein
Mar Gaye “Jhon” ! Mar Gaye Mere Din
---***---
Zakham-e Umeed Bhar Gaya Kab Ka,
Qais Tou Apne Ghar Gaya Kab Ka.
Ab Tou Mu Apna Mat Dikhaao Mujhe,
Naa-siho Main Sudhar Gaya Kab Ka.
Aap Ab Poochne Ko Aaye Hain,
Dil Meri Jaan Mar Gaya Kab Ka.
Aap Ik Aur Neend Le Lijiye,
Kaafila Kooch Kar Gaya Kab Ka.
Mera Fehrist Se Nikaal Do Naam,
Main Tou Khud Se Mukar Gaya Kab Ka.
---***---
Tum Jab Aao Gi Tou Khoya Hua Paao Gi Mujhey
Meri Tanhaayi Mein Khwaabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi
Meray Kamray Ko Sajaanay Ki Tamanna Hai Tumhain ?
Meray Kamray Mein Kitaabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi
In Kitaabon Ne Barra Zulm Kiya Hai Mujh Par
In Mein Ik Ramz Hai Jisme Ramz Ka Maara Hua Zehen
Muzda-e-Ishrat-e-Anjaam Nahi Paa Sakta
Zindagi Mein Kabhi Aaram Nahi Paa Sakta
---***---
Hum Rahay Per Nahee Rahay Aabaad
Yaad Ke Ghar Nahee Rahay Aabaad
Kitni Aankhain Howin Halaak-e-Nazar
Kitnay Manzar Nahee Rahay Aabaad
Hum Ke Ay Dil Thay Sakhan Sir Taa Paa
Hum Labon Pe Nahee Rahay Aabaad
Sheher-e-Dil Mein Ajab Mohallay Thay
In Mein Aksar Nahee Rahay Aabaad
Jaanay Kia Waaqiya Howa Kiun Loog ????
Apnay Andar Nahee Rahay Aabaad
---***---
Is Dil Mein Salamat Hai Ab Tak
Woh Shokhi-E-Lab Woh Haraf-E-Wafa,
Woh Naqsh-E-Qadam Woh Aks-E-Hina
So Bar Jisay Choma Hum Nay,
Is Dil Mein Salamat Hai Ab Tak
Woh Gard-E-Alam Woh Deeda-E-Num,
Hum Jis Mein Chupa Ker Rakhty Thy
Tasweer Bikharti Yaadon Ki
, Zanjeer Pighalty Waadon Ki
Poonji Nakam Iradon Ki, Ay Teiz Hawa Naraz Na Ho
Is Dil Mein Salamat Hai Ab Tak,
Kuch Rezy Naram Sawalon Ke
Kuch Dar Anmol Khayalon Ke,
Ek Saccha Roop Haqeeqat Ka,
Ek Jhootha Lafz "Muhabbat" Ka...!!!
---***---
Benaam Sa Ye Dard…Thehar kyon Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai…Woh Guzar Kyon Nahi Jata.
Sab Kuch To Hai…Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein
Kya Baat Hai…Mai Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata..
Woh Ek Hi Chehra To, Nahi Sare Jahan Mein
Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata…
Main Apni Hi Uljhi Hoi…Raho Ka Tamasha
Jate Hain Jidhar Sab…Main Udhar Kyon Nahi Jata…
Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata…!

No comments:
Post a Comment