Sad Urdu Poetry Biography
Source:- Google.com.pk
Maine
To Zindagi Ko Tere Naam Likha Tha,
Magar Kuch Aur Hi Marzi Us Khuda Ki Thi,
Dard Hi Dena Tha To Pehle Bata Deta,
Hum Ko Bhi Shuru Se Tamanna Saza Ki Thi .

--***--
Ruth
Gya Hai Mujhko Manane Waala
Ab koi nahi naaz mera uthaane wala
Per jaane kya sonchta hai
Yeh khula darwaaza
Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala
Ab koi nahi naaz mera uthaane wala
Per jaane kya sonchta hai
Yeh khula darwaaza
Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala
--***--
Aao
Kisi Shab Mujhe Toot Ke Bikhrta Dekho
Meri Ragon Mein Zehar Judaai Ka Utartta Dekho
Kis Kis Ada Se Tujhe Maanga Hai Rab Se,
Aao Kabhi Mujhe Sajdoon Mein Sisakta Dekho

Teri Talaash Mein Hum Ne Khud Ko Kho Diya Hain
Mat Aao Saamne Magar Kahin Chup Ke Mujhe Tarapta Dekho
Baddee Shoq Se Mar Jaein Gein Hum Agar
Tum Saamne Baith Kar Saans Ka Tasalsul Toot’ta Dekho

Itna
kuch khoya ki pana na aaya..
Pyar kiya to nibhana na aaya..
aa gaye is dil mein pehli nazar mein vo..
Kasoor humra tha.. jo hume unke dil mein samana na aaya

Apne hathon ki lakeeron se mita don tujh ko?
Kaise mumkin hay k main aise dagha don tujh ko
Sochta hon main kisi tor bhula don tujh ko
Apni yaadon se kisi roz mita don tujh ko
Tu na mil paye mujhe aisi Dua don tujh ko
Hosla hota nahin dagh e wafa don tujh ko
Mere daman mein andheron k siva kuch bhi nahin
Yeh kisi roz,kisi roz bata don tujh ko
Aitbar e dil e awara nahin hay mujh ko
Is ki dharkan mein bhala kaise basa don tujh ko
Aag si lagti hay seenay mein shab o roz Khalish
Yeh na ho khud bhi jalon aur jala don tujh ko

Kya
khabar thi tum achanak hi juda ho jao gay,
Kabhi mujh per martay thay kisi aur pe fida ho jao gay,
1 tujhe hi ko chaha tha apni zaat se barh kr,
Ye socha bhi nahi k mere liye saza ho jao gay,
Main nahi pochunga tm se kabhi “Mujhe chorne ka sabab”,
Mere ye pochne per tm shayad mujh se khafa ho jao gay,

“Main
to isi main khush hn k tm khush ho”
Warna !
Utha loon hath ager dua k liye to “Tm ab bhi mere ho jao gay”.. ..

Jab
Tere Dard Mein Dil Dukhta Tha
Hum Tere Haq Mein Duyaien karte The
Jab teri Dhun mein Jiya Karte The
Hum Bhi Chup Chaap Phira Karte The
Aankh Mein Pyas Huwa kartie Thie
Dil Say Toofan Utha Karte The
Log Aate The Ghazal Sunne ko
Hum Teri Baat Kiya Karte The
Such Samajhte the tere waadoun ko
Raat Din Gher Mein Chupa Karte The
Kisi Weerane Mein Tujh Say Mil Kar
Dil Mein Kya Phool Khila Karte The
Gher Ki Dewaaroun Ko Sajane Ke liye
Hum Tera Naam Likha Karte The
Woh Bhi Kya Din The Bhula Kar Tujh Ko
Hum Tujhe Yaad Kiya Karte The
Jab Tere Dard Mein Dil Dukhta Tha
Hum Tere Haq Mein Duyaien karte The
Bujhne Lagta Tha jo Tera Chehra
Dagh Seene Mein Jala Karte The
Chherta Tha Gham-e-Duniya Mohsin
Hum Tere Gham Say Gila Karte The
--***--
Hum Tere Haq Mein Duyaien karte The
Jab teri Dhun mein Jiya Karte The
Hum Bhi Chup Chaap Phira Karte The
Aankh Mein Pyas Huwa kartie Thie
Dil Say Toofan Utha Karte The
Log Aate The Ghazal Sunne ko
Hum Teri Baat Kiya Karte The
Such Samajhte the tere waadoun ko
Raat Din Gher Mein Chupa Karte The
Kisi Weerane Mein Tujh Say Mil Kar
Dil Mein Kya Phool Khila Karte The
Gher Ki Dewaaroun Ko Sajane Ke liye
Hum Tera Naam Likha Karte The
Woh Bhi Kya Din The Bhula Kar Tujh Ko
Hum Tujhe Yaad Kiya Karte The
Jab Tere Dard Mein Dil Dukhta Tha
Hum Tere Haq Mein Duyaien karte The
Bujhne Lagta Tha jo Tera Chehra
Dagh Seene Mein Jala Karte The
Chherta Tha Gham-e-Duniya Mohsin
Hum Tere Gham Say Gila Karte The
--***--
Dard
De Kar Mohabbat Ki Ada Bhool Gaye
Dil Mein Thei Qaid Magar Rasm-e-Wafaa Bhool Gaye
Jin Aankhon Mein Chhalkti Thei Sharaab Har Dam Yoo’n
Kya Ghula Zeher, Maikade Ka Nasha Bhool Gaye
Zakhm Dete Rahe Laawa Bhi Ugalta Hi Raha
Guzre Hain Ishq Mein Par Rooh-e-Wafaa Bhool Gaye
Shumaar Rehte Kabhie Thei Aziz Logo’n Mein
Aab Khyaalo’n Mein Bhi Woh Dil Ka Pataa Bhool Gaye
Bin-Piye Musafir Gunaah Karne Ko Majboor Hua
Sazaa Toh Yaad Rahi Aur Khataa Bhool Gaye

Mohabbaton
Main Kuch Aise Bhi Haal Hote Hain
Khafa Hon Jin Se Unn Hi Ke Khayaal Hote Hain
Machalte Rehte Hain Zehno’n Main Waswaso’n Ki Tarah
Haseen Loog Bhi Jaan Ka Wabaal Hote Hain
Main Dil Ke Zakhm Chupaao’n Teri Tarah Kaise
Ke Tere Paas Toh Lafzo’n Ke Jaal Hote Hain
Bas Ek Tuu Hi Sabab Toh Nahin Udaasi Ka
Tarah Tarah Ke Dilo’n Ko Malaal Hote Hain
Siyaah Raat Mein Jalte Hain Jugnuo’n Ki Tarah
Dilo’n Ke Zakhm Bhi Kitne Kamaal Hote Hain

Kaise
Woh Laut Aaye Ke Fursat Usse Nahin
Duniya Samajh Rahi Hai Mohabbat Usse Nahin
Lagta Hai Aa Chuki Hai Kami Uss Ki Chaah Mein
Kaafi Dino’n Se Mujh Se Shikaayat Usse Nahin
Dil Ki Zameen Uss Ki Hai Banjar Issi Liye
Jazbo’n Ki Baarisho’n Ki Joh Aadat Usse Nahin
Har Cheez Ikhtiaar Mein Rakhta Hai Woh
Magar Dil Se Rihaai Paane Pe Qudrat Usse Nahin
--***--
Kash Ham Ko Bhi Nazar Aa Jay Ek Totha Sitara
Ham Un Ko Mang Lay Ek Khuahish Ki Tamana Ki Terhaan
Wo Hame Mil Jay Ek Haseen Nazaray Ki Tarhan
Jin Ko Ham Dil Main Basa Kar Umar Guzare
Aik Khush Naseeb Ki Tarhan
Un Ki Yadoon Main Rooz Nikal Partay Hain
Shayad Wo Kabhi Nazar Aa Jay Ek Ajnabi Ki Tarhan
Us Ko Kabi Aati Bhi Nahi Hogi Meri Yaad
Jis Shakahs Say Har Lamha Mera Dhiyan Bandha Hain

No comments:
Post a Comment