Sad Poetry Images In Urdu Biography
Source:- Google.com.pk
Sach Kahun Ga To Saza Denge Tere Sheher K Log
Mujh Ko Sooli Par Chara Denge Tere Sheher K Log
Baaton Baaton Me Tera Zikar Krenge Mujh Se
Yoon Zakhmon Ko Hawa Denge Tere Sheher K Log
Ek Deewar Gira Hi Doon To Aye Jan-E-Wafa
Nai Deewar Utha Denge Tere Sheher K Log
Mene Sadiyon Me Hansne Ka Saliqa Seekha
Kya Khabar Thi K Rula Denge Tere Sheher K Log
Me To Shama Hun Meri Umar Hi Kya Hai?
Subha Hote Hi Bujha Denge Chiragh Tere Sheher K Log...
--***--
Jis Din Mout Ki Godd Me Sona Hoga
Na Koi Takkiya Na Koi Bichona Hoga
Sath Rahengi Bas Ap Jese Logon Ki Duaaen
Or Qabristaan Ka Ek Chota Sa Kona Hoga...
--***--
Kaho Agar To Bhula Doon Tum Ko
Sab Kuch Bata Kar Rulaa Doon Tum Ko
Bohat Dushwaar Guzre Ga Mujh Pr
Kaho Agar To Sazaa Doon Khud Ko
KIun Ab Roz Roz Ka Rona Rahe Aakhir
Aj Hi Kiun Na Mitaa Doon Dukh Ko
Kaho Agar To Bhulaa Doon Tum Ko...
--***--
Zindagi Ki Ulzano Mein
Zindagi ki ulzano mein ulajhta raha
Bas uske pyar ke liye hurdum tarasta raha
Zindagi ki ulzano mein ulajhta raha
Bas uske pyar ke liye hurdum tarasta raha
Jaanta tha woh shyad hi kabhi mujhe haasil hogi
Phir bhi jhute dilase se dil bahlata raha
Socha tha kabhi to waqt mere saath hoga
Par who bhi ret ki tarah mere haath se fisalta raha
Shayad,
Khuda ko ye bhi na manzor tha aankho mein kaid karoon uske aks ko
Isliye to har lamha paani ki tarah meri aankon se behta raha
--***--
BUHAT TAKLEEF HOTI HAI
Buhat takleef hoti hai..
ke jis se pyaar kartay hon
jisay dunya samajhtay hon
wohi anjaan betha ho
nahi jazbay samajhta ho
Buhat takleef hoti hai
kabhi jo paas se guzray
kisi ke hath ko thamay
kisi ka humsafar ban ke
woh dekhay bhi nahi mur ke
Buhat takleef hoti hai...
woh sub kuch jaan jaay tu
ke lub tum khol paay tu
magar saray jahan main woh
tujhe tamasha banay tu
BUHAT takleef hoti hai
Buhat takleef hoti hai
--***--
BUHAT TAKLEEF HOTI HAI
Buhat takleef hoti hai..
ke jis se pyaar kartay hon
jisay dunya samajhtay hon
wohi anjaan betha ho
nahi jazbay samajhta ho
Buhat takleef hoti hai
kabhi jo paas se guzray
kisi ke hath ko thamay
kisi ka humsafar ban ke
woh dekhay bhi nahi mur ke
Buhat takleef hoti hai...
woh sub kuch jaan jaay tu
ke lub tum khol paay tu
magar saray jahan main woh
tujhe tamasha banay tu
BUHAT takleef hoti hai
Buhat takleef hoti hai
--***--
Pyaas Dil Ki
pyaas dil ki kabhi bujhane aaya hi nahi
kaisa badal hai jis ka koi saaya bhi nahi
roz aata hai dar e dil pe wo dastak dene
aaj tak hamain jis ne paas bulaya bhi nahi.
kaisa badal hai jis ka koi saaya bhi nahi
roz aata hai dar e dil pe wo dastak dene
aaj tak hamain jis ne paas bulaya bhi nahi.
--***--
Muhabbat Rog Hoti Hai
Muhabbat rog hoti hai kaha bhi tha
rula ker khud bhi roti hai kaha bhi tha
kinaarey k qareeb lay jaa ker
ye kashti ko daboti hai kaha bhi tha
isay tum dil ki dharti ka pata mat dou
ye is mein dard boti hai kaha bhi tha
muhabbat mein khushi k baad gham ki rut
bohat nazdeek hoti hai kaha bhi tha
luta ker dil ko roney sey bhi kya haasil
bohat naa'yaab moti hai kaha bhi tha
azal sey is ki fitrat hai zamaaney ko
jaga ker khud ye soti hai kaha bhi tha
ye ser sey paa'on tak bus raakh ker dey gi
bohat bey dard hoti hai kaha bhi tha
--***--
rula ker khud bhi roti hai kaha bhi tha
kinaarey k qareeb lay jaa ker
ye kashti ko daboti hai kaha bhi tha
isay tum dil ki dharti ka pata mat dou
ye is mein dard boti hai kaha bhi tha
muhabbat mein khushi k baad gham ki rut
bohat nazdeek hoti hai kaha bhi tha
luta ker dil ko roney sey bhi kya haasil
bohat naa'yaab moti hai kaha bhi tha
azal sey is ki fitrat hai zamaaney ko
jaga ker khud ye soti hai kaha bhi tha
ye ser sey paa'on tak bus raakh ker dey gi
bohat bey dard hoti hai kaha bhi tha
--***--
Wo Mujh Se Meri Udasiyon Ki Wajah Poochti Hay
Kaisi pagal hay dhaltii raat kay sanatay ki wajah poochti hay
Wo Mujh se meri barastii ankhon ki wajah poochti hay
Kaisi pagal hay barish kay barasnay ki wajah poochti hay
Wo mujh se meri MOHABBAT-O-WAFA kay baray main poochti hay
Kaisi pagal hay sumandar par kharii uski gehraii poochti hay
Wo mujh se meri pasand kay baray may poochti hay
Kitni nadan hay apnay hee baray may poochti hay
--***--
Kaisi pagal hay dhaltii raat kay sanatay ki wajah poochti hay
Wo Mujh se meri barastii ankhon ki wajah poochti hay
Kaisi pagal hay barish kay barasnay ki wajah poochti hay
Wo mujh se meri MOHABBAT-O-WAFA kay baray main poochti hay
Kaisi pagal hay sumandar par kharii uski gehraii poochti hay
Wo mujh se meri pasand kay baray may poochti hay
Kitni nadan hay apnay hee baray may poochti hay
--***--
Bewafa Tujhpe Yun Ilzam Nahi Aayega
Gam ke kisse me tera nam nahi Aayega,
Bewafa tujhpe yun ilzam nahi Aayega,
Dil to toda hai na ham todenge rasme wafa,
Jal ke is aag me rakh bhi ho jayen to kya,
Zuban pe dard ka nishan nahi Aayega,
Bewafa tujh pe yun ilzam nahi Aayega !
Chahe gam me jiyen ham tujhse begane hokar,
Teri rahon se na gujrenge diwane hokar,
Tere labon pe mera jam nahi Aayega,
Bewafa tujh pe yun ilzam nahi Aayega !
Na khabar thi ki baharon me bichhad jayenge,
Hasraton ke eh naseman hi ujad jayenge,
Tujhko ab issk ka paigam nahi Aayega,
Bewafa tujh pe yun ilzam nahi Aayega !
Kya tilism tha jab issk me sarshar the hum,
Ek pakeeza muhabbat se giriftar the ham,
Ab us diwangi ka mukam nahi Aayega,
Bewafa tujh pe yun ilzam nahi Aayega !!
Bewafa tujhpe yun ilzam nahi Aayega,
Dil to toda hai na ham todenge rasme wafa,
Jal ke is aag me rakh bhi ho jayen to kya,
Zuban pe dard ka nishan nahi Aayega,
Bewafa tujh pe yun ilzam nahi Aayega !
Chahe gam me jiyen ham tujhse begane hokar,
Teri rahon se na gujrenge diwane hokar,
Tere labon pe mera jam nahi Aayega,
Bewafa tujh pe yun ilzam nahi Aayega !
Na khabar thi ki baharon me bichhad jayenge,
Hasraton ke eh naseman hi ujad jayenge,
Tujhko ab issk ka paigam nahi Aayega,
Bewafa tujh pe yun ilzam nahi Aayega !
Kya tilism tha jab issk me sarshar the hum,
Ek pakeeza muhabbat se giriftar the ham,
Ab us diwangi ka mukam nahi Aayega,
Bewafa tujh pe yun ilzam nahi Aayega !!
--***--
Mohabbat
Phool to bohaat girte hain
mager uthata koi koi
mager uthata koi koi
mohabbat to bohaat karte hain
mager nibhata koi koi
--***--
No comments:
Post a Comment