Sad Love Poetry In Urdu Biography
Source:- Google.com.pk
Woh mujhe chorr geya
tha kisi rangeeni main
Woh jo ab dhoondta
rehta hai kharabon mein mujhe
Tum ne ik umar kiya
hai nazar’andaaz Wasi
Aur ab dhoondte
phirte ho saraabon mein mujhe
Zaroob-o-taqseem Wasi
ishq mein la’hasil hai
Jaaney kyon khojtay
rehte ho hisaabon mein mujhe__!!
--***--
Mere lehje mein jo aansu se utar aye hain
Kitne barson ke sitam aankh main dar aye hain
Tum gaye they to yeh dehleez na dekhi thi kabhi
Aaj tum aaye to hum laut ke ghar aaye hain
Jaane tanbeeha ki dhamki ke basharat hai koi
Mere aangan mein jo tootay huye par aaye hain
Ab hamain khauf hai jeeney ka na mar mitne ka
Teri chokhat se jo aye hain to mar aye hain_____!!
Kitne barson ke sitam aankh main dar aye hain
Tum gaye they to yeh dehleez na dekhi thi kabhi
Aaj tum aaye to hum laut ke ghar aaye hain
Jaane tanbeeha ki dhamki ke basharat hai koi
Mere aangan mein jo tootay huye par aaye hain
Ab hamain khauf hai jeeney ka na mar mitne ka
Teri chokhat se jo aye hain to mar aye hain_____!!
--***--
Diwar pe larza hai to
dhar kamp raha hai
Bichare ho to ojhara
hoa ghar kamp raha hai
Tum ankh ki patali me
chope sach ko bhi daikho
Mujram to nahin hai
wo agar kamp raha hai
Weran hai is darja
tere bad mera dil
Iss sheher me ate hoe
dar kamp raha hai
Ikk main k judai ne
mujhe kar dia sakat
Ikk to hai k sadame
se odhar kamp raha hai
Anghan ko palat jaon
na main chor k uss ko
Sehra main mera
khawab safar kamp raha hai
Yaa to meri benai pe
hai khof mosalat
Yaa nehar k pani me
shajar kamp raha hai
Tujhe nahin don ga
main kabhi hijhar k sadme
Dil me teri yadon ka
sharer kamp raha hai_____!!
--***--
Tanzz karte hain jo
log un ko dikhane ke liye
Laut aao na mere yaar
zamane ke liye
Is liye bhi teri
tasveer jala di mene
Aur kuch tha hi nahin
dil ko jalane ke liye
Tere baayess hi to
saktay ka hai aalam taari
Khud ko naraaz kiya
khud ko mananey ke liye
Aaj phir shaam guzari
hai usi jungle mein
Un darakhton se tera
naam mitaney ke liye
--***--
Ansu’oon ! Shaam Ki
Palkon Pe Larazty Rehna
Dob Jaye Jo Ye Manzar
To Barastay Rehna____!!
Us Ki Aadat Wohi Her
Baat Adhori Karna
Or Phir Baat Ka
Mafhom Badaltay Rehna_____!!
Aaj Se Seekh Lia Hai
Ye Qareena Hum Ne__
Bujh Bhi Jana To Bari
Dair Tak Sulagtay Rehna___!!
Jany Kis Umer Main
Jaye Gi Ye Aadat Us Ki
Rothna Khud Se To
Auron Se Ulajhtay Rehna____!!
--***--
Abhi Sooraj Nahi
Dooba Zara Si Sham Honay Do
Mai Khud Hi Laut
Jaoonga Mujhe Nakaam Honay Do
Mujhey Badnam Karne
Ke Bahanay Dhoondtay Ho Kyun____??
Mai Khud Hojaoonga
Badnam Pehley Naam Honey Do
Abhi Karna Nahi
Aetraaf-E-Shikast Mujhko
Mai Sab Tasleem Kar
Loonga Ye Charcha Aam Honay Do
Meri Hasti Nahi Anmol
Phir Bhi Bik Nahi Sakta
Wafayen Bech Lena Par
Zara Neelam Honay Do
Naye Aaghaz Main Hi
Hosla Kyun Haar Bethey Ho___??
Jeet Jaogay Tum Sab
Kuch Zara Anjaam Honay Do____!!
--***--
Wo Aam Si Sham Thi
Jab Juda Hoey Thy Hum
Na Toot Kar Piyar
Kiya.
Or
Na Ro Saky Thy Hum
Tum Sey Gila kia
Na Zamany Se Kuch Kaha,,,
Barbad Ho Gaey
Bohat Sadgii Se
Hum_____!!
--***--
Kabhi Aansu Chupa
Chupa K Roye
Kabhi Daastan-e-Gham
suna Suna K Roye
Raat Katti Hai
Intzar-E-Yaar Mein
Hum Raat Bhar Taaron
Ko Jaga Jaga K Roye
Phir Wo N Aaye Raat
Ka Wada Kar K
HUm Tamam Raat Shama
Jala Jala K Roye
Aaj Raat Un K Aane Ki
Umeed Thi Humen
Wo N Aaye Hum Ghar Ko
Saja Saja K Roye
Suna Hai “WASI” Dua
Se Hoti Hai Murad Poori
Hum Saari Raat Haath
Utha Utha K Roye____!!
--***--
Wo Rat Dard Aur Sitam
Ki Raat Ho Gi
Wo Rat Dard Aur Sitam
Ki Raat Ho Gi
Jis Rat Ruksat Un Ki
Barat Ho Gi
Uth Jate Hain Ye Soch
Kar Neend Se K
Kisi Ghair Ki Bahon
Mein Meri JAN Ho Gi
Hosh Nahi Tha Mujhe
Us Ki Shadi Ki Rat
Main Ne Kabhi Ye Na
Socha Tha K Meri Zindagi Nelaam Ho Gi
Meri JAN Ab Zinda Hon
Teri Khatir
Kal Shehr Mein Tere
Kafan Mein Lipti Meri Lash Ho Gi
Tum Dekh Kar Khoon K
Aanso Ro Gi
Youn Khoon Se Bhari
Meri Lash Ho Gi
Qayamat Hi Qayamt Ho
Gi Tere Shehr Mein K
Har Gali Har Ghar
Mein Likhi Meri Dukh Bhari Dastaan Ho Gi
Wo Rat Dard Aur Sitam
Ki Rat Ho Gi_____________!!
--***--
Jab Neend Se Ankhain Bojhal Hon,
Aur Apne Aankh Se Ojhal Hon,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?
Jab Dil Mein Basne Waale Bhi,
Aur Saath Mein Hasnay Walay Bhi,
Jab Door Khahin Wo Bastay Hon,
Kisi Aur Ke Sath Wo Hanstay Hon,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?
Jab Ghum Ki Raat Andhairi Ho,
Aur Us Mein Yaad Bhi TERI Ho,
Na Dil Mein Koi Ujala Ho,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?
Phir Neend bhala kab ati ha..?
Jab Neend Se Ankhain Bojhal Hon,
Aur Apne Aankh Se Ojhal Hon,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?
Jab Dil Mein Basne Waale Bhi,
Aur Saath Mein Hasnay Walay Bhi,
Jab Door Khahin Wo Bastay Hon,
Kisi Aur Ke Sath Wo Hanstay Hon,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?
Jab Ghum Ki Raat Andhairi Ho,
Aur Us Mein Yaad Bhi TERI Ho,
Na Dil Mein Koi Ujala Ho,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?
Phir Neend bhala kab ati ha..?
--***--
No comments:
Post a Comment