Love Sad Poetry In Urdu images Biography
Source:- Google.com.pk
In Faaslon Ki Fikar Mein Kyun Karun Bhalaaa?
Boht Door Reh K Bhi Mere Paas Hai Koi,
Is Soch Me Dooba Hai,Bohat Dair Se Mera Dil,
Kiya Us’k Dil Me Bhi Aisa Ehsaas Hai Koi,
Uski Nazron Se Hai Bana Meri Sanson Ka Tasalsul,
Is Tarah Meri Zindagi Ki Aas Hai Koi,
Uska Jo Poocha Hai To Bs Itna Jaan Lo,
Bohat Khas, Bohat Khas, Bohat Khas Hai Koi,
Mohsin Jo Ja Rahy Ho To Ye B Us Se Kehna,
Us K Bina Is Shehar Me Boht Udaas Hai Koi
---***---
Boht Door Reh K Bhi Mere Paas Hai Koi,
Is Soch Me Dooba Hai,Bohat Dair Se Mera Dil,
Kiya Us’k Dil Me Bhi Aisa Ehsaas Hai Koi,
Uski Nazron Se Hai Bana Meri Sanson Ka Tasalsul,
Is Tarah Meri Zindagi Ki Aas Hai Koi,
Uska Jo Poocha Hai To Bs Itna Jaan Lo,
Bohat Khas, Bohat Khas, Bohat Khas Hai Koi,
Mohsin Jo Ja Rahy Ho To Ye B Us Se Kehna,
Us K Bina Is Shehar Me Boht Udaas Hai Koi
---***---
Itna Toota Hoon Key Choonay Say Bikhar Jaaoonga,
Ab Agar Aur Dua Dogay To Mar Jaaoonga !
Pooch Kar Mera Pata, Waqt Ra-E-Gan Na Karo,
Main To Banjara Hoon, Kya Jaanay Kidhar Jaaoonga !
Har Taraf Dhund Hai, Jugnu Hai Na Charaag Koi,
Kaun Pehchanay Ga, Basti Mein Agar Jaaoonga !
Zindagi, Main Bhi Musaafir Hoon Teri Kashti Ka,
Tu Jahan Mujh Say Kahegi Main Utar Jaaoonga !
Phool Rah Jayeengay Guldaan Mein Yaadon Ki Nazar,
Main To Khushboo Hoon Fiza’on Mein Bikhar Jaaoonga
---***---
Ham Ne Ye Wafa Ye Muhabbat Tere Naam Ki
Ham Ne Apni Chahat Tere Naam Ki
Sab Gham Or Dard Hain Hamare Liye
Ham Ne Tamam Umar Ki Khushyan Tere Naam Ki
Hamari To Na Manzil Hai Na Rasta
Ham Ne Phir B Apne DIL Ki Dunya Tere Naam Ki
Ham Hain Bewafa Kabi Soachna B Mat
Ham Ne To Ek Umar Ki Wafa Tere Naam Ki
---***---
Humme Apni Baat Ka Khud Yaqeen Nahi Hay
Ke Woh Dil Nashee Dil Mein Nashee Nahi Hay
Teree Wade Ki Chalaki Ko Samajh Sakee
Janab Dil Mera Itna Zaheen Nahi Hay
Sab Barbaad Kar Chukee To Khayal Aya
Ke Woh Bewafa Itna Haseen Nahi Hay
Itne Salike Se Ujra Meree Dil Ka Nagar
Makan To Hay Koi Makeen Nahi Hay
Akhri Hichki Pe Janab Muskura Kar Bolee
Yeh To Mar Gaya Qabil_e_yaqeen Nahi Hay
---***---
Tum Jo Nazrein Jhukaey Bethay Ho
Kis Key Dil Mein Samaey Bethay Ho
Koi Chahta Hey Tum Ko Utna Hi
Jitna Tum Muskuraey Bethay Ho
Kis Kadar Husn Hey Nigahon Mein
Jo Ye Kaajal Lagaey Bethay Ho
Koi Toofa’n Sa Guma’n Hota Hey
Zulfein Aisey Bikhraey Bethay Ho
Dil Ki Dharkan Sunai Deti Hey
Raah Mein Dil Bichaaey Bethay Ho
Yun Hi Kehdo Ke Pyaar Kartey Ho
Kyun Ye Aansoo Bahaaey Bethay Ho
Kyun Na Karta, Mohabbat Saqib
Dil Jo Uska Churaey Bethay Ho
---***---
Kis Key Dil Mein Samaey Bethay Ho
Koi Chahta Hey Tum Ko Utna Hi
Jitna Tum Muskuraey Bethay Ho
Kis Kadar Husn Hey Nigahon Mein
Jo Ye Kaajal Lagaey Bethay Ho
Koi Toofa’n Sa Guma’n Hota Hey
Zulfein Aisey Bikhraey Bethay Ho
Dil Ki Dharkan Sunai Deti Hey
Raah Mein Dil Bichaaey Bethay Ho
Yun Hi Kehdo Ke Pyaar Kartey Ho
Kyun Ye Aansoo Bahaaey Bethay Ho
Kyun Na Karta, Mohabbat Saqib
Dil Jo Uska Churaey Bethay Ho
---***---
Hum To Saya Tera Ban Jayen Agar Tu Chahe,
Ya Kabhi Bhi Na Nazar Aayen Agar Tu Chahe,
Tu Jo Chahe To Sar-E-Aam Karen Ehd-E-Wafa,
Yun Hi Duniya Se Guzar Jayen Agar Tu Chahe,
Tujhse Milne Main To Jaanaan Teri Ruswai Hai,
Hum Teri Yaad Se Mil Aayen Agar Tu Chahe,
Tu Jo Kehde To Pukaaren Sar-E-Bazar Tujhey,
Ajnabi Ban K Guzar Jayen Agar Tu Chahe,
Zindaqi Krlen Agar Teri Ijazat Mil Jaye,
Teri Chaukhat Pe Hi Mar Jayen Agar Tu Chahe
---***---
Jab Sar-E-Sham Us Ny Zulfon Ko Sanwara Ho Ga,
Hath Main Kangan Ankh Main Kajal Awara Ho Ga,
Us K Joray Main Saja Wo Sufaid Gulaab,
Raat Ko Sotey Main Kisi Ny To Utara Ho Ga,
Aalm-E-Tanhai Main Shab Bhar Karwten Lay Kar,
Koi To Ho Ga Jisay Us Ny Pukara Ho Ga,
Haay! Wo Neend Main Dubi Hoi Makhmor Ankhain,
Jis Ny Dekha Wo Dil Wahen Py Haara Ho Ga
Us K Betab Larazty Huway Honton Py
Hamen Yaqeen Hai Machalta Huwa Wo Naam Humara Ho Ga.
---***---
Main Usay Kesy Akela Chore Doon Is Rah Main
Sath Jo Chalta Raha Majboriyon K Bad Bhi
Ban K Khushboo Rach Gaya Hai Yun Meray Ehsas Main
Door Ho Paya Nahin Wo Dooriyon K Bad Bhi
Rafta Rafta Us Ko Bhi Ye Duniya Raas Aa Gai
Muskra K Wo Mila Hai Ranjishon K Baad Bhi
Faslay Kab Kam Huwe Hain Rabton K Bad Bhi
Ajnabi They Ajnabi Hain Mohabbaton K Bad Bhi
---***---
Aao Hum Mil Kar Ek Naya Jahan Banain
Duniya Se Duur Pyar Ka Ek Nagar Banain
Jahan Mohabbat Ka Raaj Ho
Sar Par Khushi Ka Taj Ho
Zindagi Pay Na Khauf Tari Ho
Hifazat Aik Doojy Ki Zimaydari Ho
Nafrat Ki Jahan Ghuttan Na Ho
Zindagi Jahan Kathin Na Ho
Chalo Mill Kar Iss Khwab Ki Tabeer Dhondhain
Iss Jahan Mein Mohabbat Ki Jaggir Dhondhain
Aao Hum Mill Kar Ek Naya Jahan Banain
Duniya Se Duur Pyar Ka Ek Nagar Banain
---***---
Duniya Se Duur Pyar Ka Ek Nagar Banain
Jahan Mohabbat Ka Raaj Ho
Sar Par Khushi Ka Taj Ho
Zindagi Pay Na Khauf Tari Ho
Hifazat Aik Doojy Ki Zimaydari Ho
Nafrat Ki Jahan Ghuttan Na Ho
Zindagi Jahan Kathin Na Ho
Chalo Mill Kar Iss Khwab Ki Tabeer Dhondhain
Iss Jahan Mein Mohabbat Ki Jaggir Dhondhain
Aao Hum Mill Kar Ek Naya Jahan Banain
Duniya Se Duur Pyar Ka Ek Nagar Banain
---***---
Aaa Bhi Jaao Ki Zindagi Kam Hai,
Tum Nahin Ho To Har Khushi Kam Hai !
Vaada Kar Kay Yeh Kaun Aaaya Nahin,
Shaher Mein Aaj Roshni Kam Hai !
Aanay Kya Ho Gaya Hai Mausam Ko,
Dhoop Zyada Hai Chandni Kam Hai !
Aaina Dekh Kar Khayaal Aaaya,
Aaj Kal Unki Dosti Kam Hai !
Teray Dam Say Hi Main Mukamal Hoon,
Bin Teray Teri Yamini Kam Hai !
---***---
Usne Jab Jab Bhi Mujhe Dil Se Pukara Mohsin.
Me Ne Tab Tab Yeh Bataya Ke Tumhara Mohsin.
Log Sadyon Ki Khataon Pe Bhi Khush Baste Hain.
Humko Lamhon Ki Wafaon Ne Ujara Mohsin.
Jab Agiya Ho Ye Yaqin Ab Woh Nahin Aega.
Gham Aur Anso Ne Diya Dil Ko Sahara Mohsin.
Woh Tha Jab Pas To Jeene Ko Bhi Dil Karta Tha.
Ab To Pal Bhar Bhi Nahin Hota Guzara Mohsin.
Usko Pana To Muqadar Ki Lakeron Men Nahin.
Uska Khona Bhi Karen Kaisa Gavara Mohsin?
---***---
Me Ne Tab Tab Yeh Bataya Ke Tumhara Mohsin.
Log Sadyon Ki Khataon Pe Bhi Khush Baste Hain.
Humko Lamhon Ki Wafaon Ne Ujara Mohsin.
Jab Agiya Ho Ye Yaqin Ab Woh Nahin Aega.
Gham Aur Anso Ne Diya Dil Ko Sahara Mohsin.
Woh Tha Jab Pas To Jeene Ko Bhi Dil Karta Tha.
Ab To Pal Bhar Bhi Nahin Hota Guzara Mohsin.
Usko Pana To Muqadar Ki Lakeron Men Nahin.
Uska Khona Bhi Karen Kaisa Gavara Mohsin?
---***---
No comments:
Post a Comment